mana meray say kow umer bher pooja tum nay

jow zindagi bher julta rhaa ab shdman nahain howta

aik zindagi teray taswer say dil behlaiya mager

ab teray khowab diakhnay ka armaan nahain howta

meri anaa aowr tumharee zidd main umer beet gai

yown nahain keh tumjhay pany ka saman nahain howta

waqt , faselay , umer-rawan sumjhan mumikn hai mager

tera koocha jub chowrra woh lahama biyaan nahain howta

ik umer her aahat peh sar uthaa kar tera rusta diakha

ab dil kow teray aanay ka gumaan nahain howta

zindagi tow shaaied kut jay gi teray bagher bhi

mager Ajnabi roz mar kar jeena asaan nahain howta

Gahar chalian ?