tuoo ab, meri ratoown kow sahar kar day

ya janooN day mujhay ya be-khaber ker day

main kis qadar akela hoown, is tara

hai kown jow usay yeh nusher ker day

main her rowz hi sooli charrhtaa hoown

tuoo mujh kow aik aam sa bashar kar day

main sehraay aqqal main bahthaktaa hoown

tuoo janooN ki ik thahndi nazer kar day

main tow lut hi chuka hoown kub ka

kahain kismet na tera, yeh hashar kar day

itna lambaa safar Ajnabi akelay kut'taa nahin

ab tow apnay kow mera hum-sufer kar day

Gahar chalian ?