Woh dowbra loTT ker ab tumharay paas kesay aay?

zindagi azal say ab tak serf aik phera thaa

lowg shied theek kehtay hain , main aowr tum miltay kesay

tum subho ki rowshani tahain main shaam ka sawera tha

tum say bicherr ker woqat nay apni keemat gunwa di

meray pass julti ratain , be-muqsad sawera thaa

dil ki khali kitaab main kisi aowr ka naam kesay likhtaa

meray aangun main tow tumharee yadoown ka dera thaa

laakh kowshish ki bruq nay apna chlan na budla

her baar whian giri jis shaakh peh mera basera thaa

sowch ki zameenoown peh faselay kioown ug aay ?

safur-e-zeesat main woh kal tak tow hum-safur mera thaa

Ajnabi mustaqbel ki talaash say wapis kesay jaay

jis diaes main mazi aowr haal hi mera luttera thaa

Gahar chalian ?