meray diyhaan ki serrhiyoown peh

teri sowch ka pehra hai

shaam howti hai her roz

aowr aik niya sooraj nikltaa hai

is pooray chaand kow her maah aatay jatay

dekhta hoown

khizaain jati hain bhrain aati hain

phool khiltay hain, mosom bheeghtay hain

dil kay waa dareechay peh

koi ah'hatt nahain howti

subho aankhown main buser howti hai

koi sowch, koi khiyal,

koi taswer nhain ubherta

meray dihaan ki seerrhiyoon peh

teri sowch ka pehra hai

Gahar chalian ?